Krishna Consciousness Quotes | Krishna consciousness poem | Spiritual Krishna Quotes | Hare Krishna
![]() |
Krishna consciousness quotes |
. Hamare paas sab kuch hote hue bhi, aisa kyun lagta hai ki kisi cheez ki kami hai. or wo kami andar se hume dukhati hai. zindagi mein hum ek sabse badi galti karte hain, jo hume kuch deta hai, hum uske prati kritagyata nahi dikhate.
. or iskcon founder Aacharya Srila Prabhupada ji ka kehna hai, ki agar hum bina kisi ka shukriya kahe unki cheez istemaal karen to hum chor hue. or sahi bhi kaha.
. kayi baar hum bina kisi se puche jab koi cheez lete hain, to kya sunne ko milta hai, chor. yahan sansaar me rehkar to hum ek dusre se chizen lekar kritagya ho jate hain. lekin yahan jo har cheez hum istemaal kar rahe hain, kya humne socha hai asal mein in sab cheezon ka koi malik hoga, or kya humne unhe shukriya kaha hai.
. srimad Bhagwatam jo sarvottam puran hai kehta hai, Ishvarah parmah krishna
Sachchidanand Vigraha
Anadiradir Govinda
Sarva Karan Karanam
jiska matlab hai Krishna hi bhagwan hain, jo sab karnon ke karan hain. jo sabke pita hain. or hum sab unke bachhe hain. or ek pita ka kya kartavya hai, apne bachon ka khyal rakhna, or wo rakhte bhi hain.
. or bhagwadgeeta mein Sri Krishna arjun se kehte hain, ki ailaan kar do mere bhakt ki paas jo nahi hain wo main deta hun, or jo hai uski raksha karta hun. jab hum kisi ka shukriya karte hain to dil pe jo bojh leke hum chalte hain, wo halka hota hai. jisse hum zindagi ko aasaan bana sakte hain.
. jaise hum subah uthate hain, to ek shukriya kahen Krishna ko, ki shukriya krishna aaj ke iss naye janm ke liye. aap chahte to kal ki raat mere liye antim bhi ho sakti thi. humen dil ki gehraaiyon se shukriya kehna hai or hume yeh baar baar kehna hai.
. aankdon ke anusar ek din me hum 22000 baar sans lete hain. us har saans ke liye humen Krishna ka hamesha shukriya kehna hai. jaise kayi baar humen bahut zayada pyas lagi hoti hai, us samay jab hum pani peete hain to uska swaad kitna aaraam deta hai. bhagwadgeeta me Krishna kehte hain ki main paani me jo swaad hai wo hun, suraj or chand ki jo chamak hai wo hun.
. or jab bhi hum paani piyen to krishna ko yaad karen or shukriya kahen. kayi janmon se hum suraj ki urja le rahe hain, or wo suraj ki urja ka strot bhi krishna hain. to har din humen uske liye bhi kritaarth hona hai.
. hum acha chal paa rahe hain, daud paa rahe hain uske liye shukriya krishna. hum acha sun paa rahe hain, bol paa rahe hain uske liye shukriya krishna. kahin achi paristhiti aayi uske liye shukriya krishna, kahin kharab paristhiti ho uske liye shukriya krishna.
. fir raat ko sote samay aaj ke pure janm ke liye hume krishna ko fir se shukriya kehna hai.
. is tarah jab hum har cheez ke liye bhagwaan ka shukriya kehte hain, to bhagwaan prasann ho jate hain. or jab bhagwan khush hote hain, to hum apne aap khush ho jate hain, kyunki wo sabke hriday me virajmaan hain. or hum sab unke hain.
. In this way, when we thank God for everything, God becomes pleased. And when God is happy, we automatically become happy, because He is present in everyone's heart. And we all belong to him.
Unmatchable journey a Krishna consciousness poem
0 Comments