What is true happiness quotes | quotes of the day hindi 3rd April 2024 | Bhagwadgeeta quotes
Hi friends welcome to new post. Hare Krishna. A new poem 'What is true happiness quotes | quotes of the day hindi 3rd April 2024 | Bhagwadgeeta quotes'. Read the poem till the end. Hope you will like it.
quotes of the day |
Hindi.
Khushiyan
Har koi khushiyan dhundh raha hai, lekin sabhi asafal hain. hum sabka swabhaav hai khush rehna. isliye hum khush rehne ke liye alag alag chizen karte hain, magar baad me nakaam ho jaate hain. hum plan karte hain ki ye kar lunga to khush ho jaunga, wo kar lunga to khush ho jaunga, par aisa kabhi nahi hota. fir hum yahi maan ke chalte hain ki yahi shayad zindagi hai. or hum kabhi sawal bhi nahi karte ki asal khushi kya hai.
Asal khushiyan kya hain ye janne se pehle, humen yeh janna zaroori hai ki hum vastav me kon hain? tabhi hum jaan payenge ki kaise khush raha ja sakta hai. sabse pehle humen jeev, prakriti or Bhagwaan ke baare mein vedic shastron ke dwara pata chalta hai. jaise Bhwagwadgeeta se humen sabse pehle ye janne ko milta hai ki hum shareer nahi hain atma hain. yahin se Bhagwadgeeta ka pramukh gyan shuru hota hai.
Hum kiske hain?
yeh janne ke baad ki hum shareer nahi aatma hain. Bhagwaan shri Krishna kehte hain ki hum sabhi jeev aatmayen unka ansh hain. un param Bhagwaan ke hum sabhi bache hain, hamara palan poshan karne wale wahi hain. hamare man me sawal aa sakta hai ki hum is sansaar me kaise aaye? iska uttar hai ki jaise koi sarkaar ya kanoon ke niyamon ka ullanghan karta hai to use jail me daal diya jata hai, jahan wo humesha dukhi rehta hai. vaise hi hum sabhi kisi tarah se Bhagwaan se alag hoke is sansaar rupi jail me bandhe hue hain or hamesha dukh jhel rahe hain. Krishna ko Sacchidanand Vigraha kaha jata hai, jiska matlab hai ki wo humesha aanand me hain, sampuran gyan me hain. hum sabhi unke ansh hain or hamara swaroop bhi Krishna jaisa hai, humesha aanand me rehna. lekin parkriti ke guno me bandh jaane par hum sab kuch bhul gaye hain, isiliye hum humesha dukhon me hain.
fir hamare man me agla prashn aa sakta hai ki kya karke humen khushi milegi? iska uttar hai 'Krishna ki seva karke', kyunki hum unhi ke ansh hain to jab tak hum unke liye hamare karya nahi karenge to hum kabhi bhi aanand me nahi reh sakte. asal me khushiyan to bahari dikhawa hai, hum jis cheez ko dhundh rahe hain wo hai aantarik aanand, ya keh lo sukun. kyunki aatma ka swabhaav hi hai humesha aanand me rehna or jab hum Krishna ko bhulkar kisi or ke liye karya karenge to hum us aanand se aparichit hi rahenge.
English Translation.
Happiness
Everyone is seeking happiness, but everyone is unsuccessful. It is in everyone's nature to stay happy. That's why we do different things to stay happy, but later we fail. We plan that if we do this, we will be happy, or if we do that, we will be happy, but it never happens. Then we just accept that maybe this is life. And we never even question what true happiness is.
Who we are
Before understanding what true happiness is, it is necessary for us to know who we really are. Only then can we understand how to remain happy. Firstly, we learn about the self, nature, and the divine through Vedic scriptures. For example, from the Bhagavad Gita, we first learn that we are not the body but the soul. This is where the primary knowledge of the Bhagavad Gita begins.
0 Comments